Featured post

Door Ae Dil Rahe Madine Se Naat Lyrics

 Door Ae Dil Rahe Madine Se Naat Lyrics  Door Ae Dil Rahe Madine Se Maut Behtar Hai Aise Jeene Se Un Se Mera Salam Keh Dena Jaa Ke Tu Ae Sab...

Friday, December 13, 2019

Ishqe nabi ki mithi lazzat marehra me milti hai lyrics naat

Marehra me milti hai lyrics naat

Ishqe nabi ki mithi lazzat marehra me milti hai
Jo na kabhi ho khatm wo daulat Marehra me milti hai


Jin ki ragon me khune Muhammed aaj bhi jari w sari hai
Aala hasabo nasab siyadat Marehra me milti hai


Raza se pucha Aisi Aqidat aap kahan se Laye ho 
Bol uthe mere Aala Hazrat Marehra me milti hai


Hasan Miyan ke husn ki Nazaragi Subhanallah
Chand ko karde Mand wo surat Marehra me milti hai


Mere Huzur Amine millat sab kaho Masha Allah
Millat ki ye pyari Amanat Marehra me milti hai


Mufti e Azam bayat se farig ho kar farmane lage
Achhi suthri pyari khilafat Marehra me milti hai 


Yahan waha bhatkoge Ahmed kabhi na kuch bhi paoge
Bakhshish ki jo chaho zamanat Marehra me milti hai 




        Post written By Maulana Salim Vadinar 



Thursday, December 12, 2019

Hai jahan me kon aisa Murtaza Ali jaisa Lyrics naat

Hai jahan me kon aisa Murtaza Ali jaisa Lyrics naat


Hai jahan me kon aisa Murtaza Ali jaisa
Kis ka hai Maqam aisa Murtaza Ali jaisa

Kabe me Viladat ka Sharf jis ko hasil hai
Kis ka hai Naseeb aisa Murtaza Ali jaisa

Band Ankh ko Kholdi jaise Mustafa Aaye
Oshq ho to bas Aisa Murtaza Ali jaisa





Arz Hai Khuda Seena Noor se Munavvar ho
Dil Bana de bas Aisa Murtaza Ali jaisa

Hukm e Rab tahat jis ki Fatima Bani Dulhan
Khush Naseeb kon Aisa Murtaza Ali jaisa

Me Gulam Muhammad Hu Naz he me sayed hu
Nana bhi to hai Aisa Murtaza Ali jaisa 


POST WRITTEN BY MAULANA SALIM VADINAR 



है जहां में कौन ऐसा मुर्तजा अली जैसा Lyrics naat

है जहां में कौन ऐसा मुर्तजा अली जैसा 
किसका है मक़ाम ऐसा मुर्तजा अली जैसा 

काबे में विलादत का शरफ जिस को हासिल है
किस का है नसीब ऐसा मुर्तजा अली जैसा 

बंद आंख को खोल दी जैसे मुस्तफा आए
इश्क़ हो तो बस ऐसा मुर्तजा अली जैसा 

अऱज है खुदा सीना नूर से मुनव्वर हो
दिल बना दे बस ऐसा मुर्तजा अली जैसा 

हुक्मे रब तहत् जिस की फातिमा बनी दुल्हन 
ख़ुश नसीब कौन ऐसा मुर्तजा अली जैसा 

मैं गुलाम मोहम्मद हुं नाज है मैं सैय्यद हुं
नाना भी तो है ऐसा मुर्तजा अली जैसा 


ہے جہاں میں کون ایسا مرتضیٰ علی جیسا  Lyrics naat 

ہے جہاں میں کون ایسا مرتضیٰ علی جیسا 
کس کا ہے مقام ایسا مرتضیٰ علی جیسا 

کعبے میں ولادت کا شرف جس کو حاصل ہے 
کس کا ہے نصیب ایسا مرتضیٰ علی جیسا 

بند آنکھ کو کھول دی جیسے مصطفیٰ آے 
عشق ہو تو بس ایسا مرتضیٰ علی جیسا 

عرض ہے خدا سینا نور سے منور ہو
دل بنا دے بس ایسا مرتضیٰ علی جیسا 

حکم رب تحت جس کی فاطمہ بنی دلہن 
خوش نصیب کون ایسا مرتضیٰ علی جیسا 

میں غلام محمد ہوں ناز ہے میں سید ہوں
نانا بھی تو ہے ایسا مرتضیٰ علی جیسا 

Wednesday, December 11, 2019

Zamane me agar dekhi to Shane Qadri dekhi Lyrics Naat

Zamane me agar dekhi Lyrics Naat


Zamane me agar dekhi to Shane Qadri dekhi
Nabuvvat ke gulistan me Vilayat ki kali dekhi
Haqiqat khul gayi jab sar zami bagdad ki dekhi
Dayare ghaus kya dekha Madine ki Gali dekhi



Khuda ke fazal se ham par hai saya ghause Azam ka
Hame dono jahan me hai sahara ghause Azam ka
Hamari laj kis ke hath hai bagdad wale ke 
Musibat tal dena kam kis ka ghause Azam ka






Kabhi qadmo se liptunga kabhi daman pe machlunga
Dikha dunga ke yu bachta hai banda ghause Azam ka
Azizo kar chuko tayyar jab mere janaze ko 
To likh dena kafan par name wala ghause Azam ka


Nida dega Munadi Hashr me yun Qadriyo ko
Kahan hain Qadri kar len Nazara ghause Azam ka


Jameele Qadri so jan se Qurban Murshid par
Banaya jis ne mujh jaise ko banda ghause Azam ka


       
             Post written by Maulana Salim Vadinar