Fatima Teri Chadar Lyrics Naat
Fatima Teri Chadar ka Kya Puchna
Teri Chadar ka Ehsan Islam Par
Teri Chadar ke Tukde Bahattar huve
Un Bahattar ka Ehsan Islam Par
Sayeda Tere Baba Habibe Khuda
Tere Shohar Hai Maula Ali Murtaza
Tere Bache Shahidane Karb o Bala
Tere Ghar Bhar Ka Ehsan Islam Par
Ran Me Zainab Ne Yun Haq Ada Kar diya
Yani Tameel e Hukm e Khuda Kar diya
Apne Bacho ko Deen Par Fida Kar diya
Aisi Madar Ka Ehsan Islam Par
Zikr JanBaz Talib Kare Kya Bayan
Lut Gaye ran me Jab Sare Peero Jawan
Had to Ye hai ke Ek Tashna lab Be Zuba
Nanhe Asgar Ka Ehsan Islam Par
No comments:
Post a Comment